mahshar mein dikhawe koi aiwan-e-mohammad
mahshar meñ dikhāve koī aivān-e-mohammad
fariyād ye karte haiñ ġhulāmān-e-mohammad
maiñ apne gunāhoñ ko chhupā.ūñgā isī meñ
aa jaa.e jo hāthoñ meñ vo dāmān-e-mohammad
maiñ un kī batā.ī huī rāhoñ pe chalūñgā
qur.ān hai mere liye farmān-e-mohammad
vāqif nahīñ jannat ke makīñ daur-e-ḳhizāñ se
phūloñ se ladā hai vo gulistān-e-mohammad
vo chhāñv meñ rahmat kī bhī tā-'umr rahegā
ho jaa.e 'atā jis ko bhī 'irfān-e-mohammad
vo aag meñ hargiz bhī na dozaḳh kī jalegā
jis dil meñ ho thoḌā sā bhī īmān-e-mohammad
duniyā meñ jo shohrat mile is naa't ko 'nāsir'
hogā ye bahut ham pe to ehsān-e-mohammad
mahshar mein dikhawe koi aiwan-e-mohammad
fariyaad ye karte hain ghulaman-e-mohammad
main apne gunahon ko chhupaunga isi mein
aa jae jo hathon mein wo daman-e-mohammad
main un ki batai hui rahon pe chalunga
quran hai mere liye farman-e-mohammad
waqif nahin jannat ke makin daur-e-KHizan se
phulon se lada hai wo gulistan-e-mohammad
wo chhanw mein rahmat ki bhi ta-'umr rahega
ho jae 'ata jis ko bhi 'irfan-e-mohammad
wo aag mein hargiz bhi na dozaKH ki jalega
jis dil mein ho thoDa sa bhi iman-e-mohammad
duniya mein jo shohrat mile is na't ko 'nasir'
hoga ye bahut hum pe to ehsan-e-mohammad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.