masnad-nashin-e-mahfil-e-imkan hain aap hi
masnad-nashīn-e-mahfil-e-imkāñ haiñ aap hī
is anjuman kī sham'-e-farozāñ haiñ aap hī
mumkin nahīñ ki aap se maḳhfī ho koī raaz
rāz-āshnā-e-ḳhalvat-e-yazdāñ haiñ aap hī
ehsān haiñ ḳhudā ke jo is kā.enāt par
sab jānte haiñ bā'is-e-ehsāñ haiñ aap hī
haiñ shāhkār-e-qudrat-e-ḳhāliq ḳhudā gavāh
afsāna-e-hayāt kā 'unvāñ haiñ aap hī
hazrat kī zāt-e-pāk pe nāzāñ haiñ ambiyā
paiġhambarī ke taḳht pe sultāñ haiñ aap hī
yazdāñ hai jis ke ḳhulq-o-muravvat kā mad.h-ḳhvāñ
vo barguzīda banda-e-yazdāñ haiñ aap hī
kis kis karam kā shukr ho ai rahmat-e-'amīm
dāmān-e-ārzū meñ gul-afshāñ haiñ aap hī
ḳhāliq ne jis ko 'ilm-e-ladunnī 'atā kiyā
vo be-misāl sāhib-e-'irfāñ haiñ aap hī
ḳhāk-e-shifā huzūr ke rauze kī ḳhaak hai
rashk-e-masīh-o-'īsā-e-daurāñ haiñ aap hī
kal shab chahak rahe the jo bazm-e-huzūr meñ
'mahvī' vo ḳhush-navā vo ġhazal-ḳhvāñ haiñ aap hī
masnad-nashin-e-mahfil-e-imkan hain aap hi
is anjuman ki sham'-e-farozan hain aap hi
mumkin nahin ki aap se maKHfi ho koi raaz
raaz-ashna-e-KHalwat-e-yazdan hain aap hi
ehsan hain KHuda ke jo is kaenat par
sab jaante hain ba'is-e-ehsan hain aap hi
hain shahkar-e-qudrat-e-KHaliq KHuda gawah
afsana-e-hayat ka 'unwan hain aap hi
hazrat ki zat-e-pak pe nazan hain ambiya
paighambari ke taKHt pe sultan hain aap hi
yazdan hai jis ke KHulq-o-murawwat ka madh-KHwan
wo barguzida banda-e-yazdan hain aap hi
kis kis karam ka shukr ho ai rahmat-e-'amim
daman-e-arzu mein gul-afshan hain aap hi
KHaliq ne jis ko 'ilm-e-ladunni 'ata kiya
wo be-misal sahib-e-'irfan hain aap hi
KHak-e-shifa huzur ke rauze ki KHak hai
rashk-e-masih-o-'isa-e-dauran hain aap hi
kal shab chahak rahe the jo bazm-e-huzur mein
'mahwi' wo KHush-nawa wo ghazal-KHwan hain aap hi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.