Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri ruh-e-rawan madina hai

Behzad Lakhnavi

meri ruh-e-rawan madina hai

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    merī rūh-e-ravāñ madīna hai

    dil madīna hai jaañ madīna hai

    hai madīna mirī nigāhoñ meñ

    ye na pūchho kahāñ madīna hai

    allah allāh us jagah uruuj

    hasrat-e-do-jahāñ madīna hai

    kyoñ na us par fidā hoñ do-ālam

    jān-e-kaun-o-makāñ madīna hai

    ai mire iztirāb-e-qalb-o-jigar

    mujh ko le chal jahāñ madīna hai

    martaba us koī kyā jaane

    markaz-e-'ārifāñ madīna hai

    kyā batā.ūñ kisī ko maiñ 'bahzād'

    mere vird-e-zabāñ madīna hai

    meri ruh-e-rawan madina hai

    dil madina hai jaan madina hai

    hai madina meri nigahon mein

    ye na puchho kahan madina hai

    allah allah us jagah ka uruj

    hasrat-e-do-jahan madina hai

    kyon na us par fida hon do-alam

    jaan-e-kaun-o-makan madina hai

    ai mere iztirab-e-qalb-o-jigar

    mujh ko le chal jahan madina hai

    martaba us ka koi kya jaane

    markaz-e-'arifan madina hai

    kya bataun kisi ko main 'bahzad'

    mere wird-e-zaban madina hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now