Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mera raaz kab mera raaz hai use kis tarah rakhun raaz mein

Behzad Lakhnavi

mera raaz kab mera raaz hai use kis tarah rakhun raaz mein

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    mirā raaz kab mirā raaz hai use kis tarah rakhūñ raaz meñ

    mirī zindagī mirī aabrū to hai dast-e-banda-navāz meñ

    huā rāz-e-ḳhās bhī munkashif nahīñ kuchh bhī parda-e-rāz meñ

    jo chhupā thā parda-e-rāz meñ vo ayaañ huā hai hijāz meñ

    ye jo pāñch vaqt haiñ sar jhuke ye jo bande banda-numā bane

    ye usī ke lutf faiz hai ki jhuke haiñ dil bhī namāz meñ

    ye usī ne parda uThā diyā ye usī ne sab ko batā diyā

    nahīñ farq zarra-o-mehr meñ nahīñ farq shāh-o-ayāz meñ

    maiñ ye samjhūñ mujh ko atā huī na.ī sarḳhushī na.ī zindagī

    agar ek baar bhī mile mujhe sarzamīn-e-hijāz meñ

    koī jaane kyā ye haqīqateñ ye haqīqateñ haiñ haqīqateñ

    vahī naġhma parda-e-qalb meñ vahī naġhma parda-e-sāz meñ

    sabā dard-e-dil ba-huzūr kah ba-qarīb kah ki ba-dūr kah

    mirā hāl-e-zār zarūr kah jo guzar ho terā hijāz meñ

    mera raaz kab mera raaz hai use kis tarah rakhun raaz mein

    meri zindagi meri aabru to hai dast-e-banda-nawaz mein

    hua raaz-e-KHas bhi munkashif nahin kuchh bhi parda-e-raaz mein

    jo chhupa tha parda-e-raaz mein wo ayan hua hai hijaz mein

    ye jo panch waqt hain sar jhuke ye jo bande banda-numa bane

    ye usi ke lutf ka faiz hai ki jhuke hain dil bhi namaz mein

    ye usi ne parda uTha diya ye usi ne sab ko bata diya

    nahin farq zarra-o-mehr mein nahin farq shah-o-ayaz mein

    main ye samjhun mujh ko ata hui nai sarKHushi nai zindagi

    agar ek bar bhi ja mile mujhe sarzamin-e-hijaz mein

    koi jaane kya ye haqiqaten ye haqiqaten hain haqiqaten

    wahi naghma parda-e-qalb mein wahi naghma parda-e-saz mein

    saba dard-e-dil ba-huzur kah ba-qarib kah ki ba-dur kah

    mera haal-e-zar zarur kah jo guzar ho tera hijaz mein

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now