na kahin se dur hain manzilen na koi qarib ki baat hai
na kahin se dur hain manzilen na koi qarib ki baat hai
Munawwr Badayuni
MORE BYMunawwr Badayuni
na kahīñ se duur haiñ manzileñ na koī qarīb kī baat hai
jise chāheñ us ko navāz deñ ye dar-e-habīb kī baat hai
jise chāhā dar pe bulā liyā jise chāhā apnā banā liyā
ye baḌe karam ke haiñ faisle ye baḌe nasīb kī baat hai
vo ḳhudā nahīñ ba-ḳhudā nahīñ vo magar ḳhudā se judā nahīñ
vo haiñ kyā magar vo haiñ kyā nahīñ ye muhib habīb kī baat hai
vo machal ke raah meñ rah ga.ī ye taḌap ke dar se lipaT ga.ī
vo kisī amiir kī aah thī ye kisī ġharīb kī baat hai
tujhe ai 'munavvar'-e-be-navā dar-e-shah se chāhiye aur kyā
jo nasīb ho kabhī sāmnā to baḌe nasīb kī baat hai
na kahin se dur hain manzilen na koi qarib ki baat hai
jise chahen us ko nawaz den ye dar-e-habib ki baat hai
jise chaha dar pe bula liya jise chaha apna bana liya
ye baDe karam ke hain faisle ye baDe nasib ki baat hai
wo KHuda nahin ba-KHuda nahin wo magar KHuda se juda nahin
wo hain kya magar wo hain kya nahin ye muhib habib ki baat hai
wo machal ke rah mein rah gai ye taDap ke dar se lipaT gai
wo kisi amir ki aah thi ye kisi gharib ki baat hai
tujhe ai 'munawwar'-e-be-nawa dar-e-shah se chahiye aur kya
jo nasib ho kabhi samna to baDe nasib ki baat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.