Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na puchho ki kya hain madine ki galiyan

Behzad Lakhnavi

na puchho ki kya hain madine ki galiyan

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    na pūchho ki kyā haiñ madīne galiyāñ

    kise kyā patā haiñ madīne galiyāñ

    har ik zarre par māh-o-anjum tasadduq

    baḌī pur-ziyā haiñ madīne galiyāñ

    vahāñ har ik zarra mushkil-kushā hai

    mirā aasrā haiñ madīne galiyāñ

    haqīqat na pūchho haqīqat to ye hai

    haqīqat-numā haiñ madīne galiyāñ

    jabīñ merī jhuk jhuk ke ye kah rahī hai

    mirā mudda.ā haiñ madīne galiyāñ

    nigāheñ haiñ betāb-e-dīd-e-madīna

    nazar davā haiñ madīne galiyāñ

    ye bīmār-e-hijr-e-nabī ko batā do

    ki dārushshifā haiñ madīne galiyāñ

    chalo sāz-o-sāmāñ hājat nahīñ hai

    agar dekhnā haiñ madīne galiyāñ

    maiñ 'bahzād' vo bandagī kar rahā huuñ

    ki jin sila haiñ madīne galiyāñ

    na puchho ki kya hain madine ki galiyan

    kise kya pata hain madine ki galiyan

    har ek zarre par mah-o-anjum tasadduq

    baDi pur-ziya hain madine ki galiyan

    wahan ka har ek zarra mushkil-kusha hai

    mera aasra hain madine ki galiyan

    haqiqat na puchho haqiqat to ye hai

    haqiqat-numa hain madine ki galiyan

    jabin meri jhuk jhuk ke ye kah rahi hai

    mera muddaa hain madine ki galiyan

    nigahen hain betab-e-did-e-madina

    nazar ki dawa hain madine ki galiyan

    ye bimar-e-hijr-e-nabi ko bata do

    ki darushshifa hain madine ki galiyan

    chalo saz-o-saman ki hajat nahin hai

    agar dekhna hain madine ki galiyan

    main 'bahzad' wo bandagi kar raha hun

    ki jin ka sila hain madine ki galiyan

    Source :
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now