naKHuda wo apni kashti ka agar ho jaega
nāḳhudā vo apnī kashtī kā agar ho jā.egā
tai ba-āsānī mohabbat kā safar ho jā.egā
dil se jo bhī pairav-e-ḳhairul-bashar ho jā.egā
vo zamīn-o-āsmāñ kā tāj-e-sar ho jā.egā
jalva-e-ahmad kā nazzāra agar ho jā.egā
dekhne vaalā 'azīz-e-har-nazar ho jā.egā
fikr-e-manzil dūrī-e-sāhil bhī koī chiiz hai
paar hai beḌā ishāra bhī agar ho jā.egā
dil meñ un kī yaad lab par zikr un kā sub.h-o-shām
ḳhud-baḳhud paidā du'āoñ meñ asar ho jā.egā
ḳhāk-e-taiba ko banā legā jo surma aañkh kā
vo yaqīnan is chaman kā dīda-var ho jā.egā
baaġh ban jā.eñge sahrā ḳhaak ban jā.eñge phuul
ik ishāra chashm-e-ahmad kā jidhar ho jā.egā
zarra-zarra dil kā ban jā.egā rashk-e-āftāb
partav-e-husn-e-nabī jab jalva-gar ho jā.egā
āsmāñ vaale jhukeñge us kī 'izzat ke liye
banda-e-dargāh-e-ahmad jo bashar ho jā.egā
fikr-e-marham kyoñ kareñ ham chāra-e-ġham kyoñ kareñ
hāl-e-dil kā aa.ina zaḳhm-e-jigar ho jā.egā
ham madīne meñ hoñ 'mahvī' un kā rauza sāmne
ḳhud-baḳhud phir qissa-e-ġham muḳhtasar ho jā.egā
naKHuda wo apni kashti ka agar ho jaega
tai ba-asani mohabbat ka safar ho jaega
dil se jo bhi pairaw-e-KHairul-bashar ho jaega
wo zamin-o-asman ka taj-e-sar ho jaega
jalwa-e-ahmad ka nazzara agar ho jaega
dekhne wala 'aziz-e-har-nazar ho jaega
fikr-e-manzil duri-e-sahil bhi koi chiz hai
par hai beDa ishaara bhi agar ho jaega
dil mein un ki yaad lab par zikr un ka subh-o-sham
KHud-baKHud paida du'aon mein asar ho jaega
KHak-e-taiba ko bana lega jo surma aankh ka
wo yaqinan is chaman ka dida-war ho jaega
bagh ban jaenge sahra KHak ban jaenge phul
ek ishaara chashm-e-ahmad ka jidhar ho jaega
zarra-zarra dil ka ban jaega rashk-e-aftab
partaw-e-husn-e-nabi jab jalwa-gar ho jaega
aasman wale jhukenge us ki 'izzat ke liye
banda-e-dargah-e-ahmad jo bashar ho jaega
fikr-e-marham kyon karen hum chaara-e-gham kyon karen
haal-e-dil ka aaina zaKHm-e-jigar ho jaega
hum madine mein hon 'mahwi' un ka rauza samne
KHud-baKHud phir qissa-e-gham muKHtasar ho jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.