nigah-e-lutf ke umid-war hum bhi hain
nigāh-e-lutf ke ummīd-vār ham bhī haiñ
liye hue ye dil-e-be-qarār ham bhī haiñ
hamāre dast-e-tamannā kī laaj bhī rakhnā
tire faqīroñ meñ ai shahryār ham bhī haiñ
idhar bhī tausan-e-aqdas ke do qadam jalve
tumhārī raah meñ musht-e-ġhubār ham bhī haiñ
khilā do ġhuncha-e-dil sadqa bād-e-dāman kā
umīd-vār-e-nasīm-e-bahār ham bhī haiñ
tumhārī ek nigāh-e-karam meñ sab kuchh hai
paḌe hue to sar-e-rahguzār ham bhī haiñ
jo sar pe rakhne ko mil jaa.e nā’l-e-pāk-e-huzūr
to phir kaheñge ki haañ tājdār ham bhī haiñ
ye kis shahanshah-e-‘ālī kā sadqa baTtā hai
ki ḳhusruoñ meñ paḌī hai pukār ham bhī haiñ
hamārī bigḌī banī un ke iḳhtiyār meñ hai
sipurd unheñ kiye sab kārobār ham bhī haiñ
'hasan' hai jis kī saḳhāvat kī dhuum 'ālam meñ
unhīñ ke tum bhī ho ik reza ḳhvār ham bhī haiñ
nigah-e-lutf ke ummid-war hum bhi hain
liye hue ye dil-e-be-qarar hum bhi hain
hamare dast-e-tamanna ki laj bhi rakhna
tere faqiron mein ai shahryar hum bhi hain
idhar bhi tausan-e-aqdas ke do qadam jalwe
tumhaari rah mein musht-e-ghubar hum bhi hain
khila do ghuncha-e-dil sadqa baad-e-daman ka
umid-war-e-nasim-e-bahaar hum bhi hain
tumhaari ek nigah-e-karam mein sab kuchh hai
paDe hue to sar-e-rahguzar hum bhi hain
jo sar pe rakhne ko mil jae na’l-e-pak-e-huzur
to phir kahenge ki han tajdar hum bhi hain
ye kis shahanshah-e-‘ali ka sadqa baTta hai
ki KHusruon mein paDi hai pukar hum bhi hain
hamari bigDi bani un ke iKHtiyar mein hai
sipurd unhen kiye sab karobar hum bhi hain
'hasan' hai jis ki saKHawat ki dhum 'alam mein
unhin ke tum bhi ho ek reza KHwar hum bhi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.