qadam zamin pe falak par qiyam hota hai
qadam zamīñ pe falak par qiyām hotā hai
ki na.at-ḳhvānoñ kā kuchh aisā naam hotā hai
farishte yūñhī nahīñ mahfiloñ meñ aate haiñ
darūd paḌhne se ye ehtimām hotā hai
kuchh aisā lagtā hai jannat meñ ghuum phir rahe haiñ
madīna-pāk meñ vo intizām hotā hai
yahāñ pe ashk-e-nadāmat charāġh bante haiñ
yahāñ sukūt sipurd-e-kalām hotā hai
ye kā.enāt tavāzun-shi.ār yūñhī nahīñ
har e'tidāl pe aaqā kā naam hotā hai
kisī kisī ko hai miltā sirāt-e-hubb-e-rasūl
ḳhudā-e-pāk kā apnā nizām hotā hai
qadam zamin pe falak par qiyam hota hai
ki nat-KHwanon ka kuchh aisa nam hota hai
farishte yunhi nahin mahfilon mein aate hain
darud paDhne se ye ehtimam hota hai
kuchh aisa lagta hai jannat mein ghum phir rahe hain
madina-pak mein wo intizam hota hai
yahan pe ashk-e-nadamat charagh bante hain
yahan sukut sipurd-e-kalam hota hai
ye kaenat tawazun-shiar yunhi nahin
har e'tidal pe aaqa ka nam hota hai
kisi kisi ko hai milta siraat-e-hubb-e-rasul
KHuda-e-pak ka apna nizam hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.