rang naya hai bu nai aalam-e-nau-bahaar mein
rang nayā hai bū na.ī 'ālam-e-nau-bahār meñ
utrā hai kārvān-e-gul ziist ke lāla-zār meñ
sar-ba-sujūd haiñ malak salle-'alā kā shor hai
āmad-e-mustafā kī dhuum aaj hai rozgār meñ
nik.hat-e-ḳhuld le ke aaj bāġh-e-jahāñ meñ khil uThā
phuul jo sab se thā hasīñ gulshan-e-kirdgār meñ
chāheñ qamar ko shaq kareñ chāheñ palaT deñ āftāb
kaun hai aisā mo'jiza jo nahīñ iḳhtiyār meñ
us kī najāt ho ga.ī bigḌe nasīb ban ga.e
dīn-e-nabī ke aa gayā koī agar hisār meñ
jis jagah paḌ ga.e qadam zarre chamak chamak uThe
kāhkashāñ sī bichh ga.ī sahrā meñ regzār meñ
mad.h-e-rasūl ke liye kam hai hayāt-e-ḳhizr bhī
rok lo ab qalam 'nafīs' lutf hai iḳhtisār meñ
rang naya hai bu nai 'alam-e-nau-bahaar mein
utra hai karwan-e-gul zist ke lala-zar mein
sar-ba-sujud hain malak salle-'ala ka shor hai
aamad-e-mustafa ki dhum aaj hai rozgar mein
nikhat-e-KHuld le ke aaj bagh-e-jahan mein khil uTha
phul jo sab se tha hasin gulshan-e-kirdgar mein
chahen qamar ko shaq karen chahen palaT den aaftab
kaun hai aisa mo'jiza jo nahin iKHtiyar mein
us ki najat ho gai bigDe nasib ban gae
din-e-nabi ke aa gaya koi agar hisar mein
jis jagah paD gae qadam zarre chamak chamak uThe
kahkashan si bichh gai sahra mein regzar mein
madh-e-rasul ke liye kam hai hayat-e-KHizr bhi
rok lo ab qalam 'nafis' lutf hai iKHtisar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.