rasul-e-mursalan tum ho nabi-ul-ambiya tum ho
rasūl-e-mursalāñ tum ho nabī-ul-ambiyā tum ho
ḳhudā ke baa'd jis kī zaat hai yā-mustafā tum ho
nigāh-e-ahl-e-bīnish kah rahī hai bā-safā tum ho
ḳhudā ko jis meñ banda dekh le vo aa.inā tum ho
haqīqat to ḳhudā par āshkārā hai ki kyā tum ho
sharī'at kahtī hai bā'd-az-ḳhudā yā-mustafā tum ho
ḳhudā.ī-bhar kī saarī ḳhūbiyāñ tum se numāyāñ haiñ
ḳhudā kahtā nahīñ haañ maz.har-e-shān-e-ḳhudā tum ho
tumhārā vasf insāñ kī zabāñ kar hī nahīñ saktī
habīb-e-kibriyā tum ho shah-e-har-do-sarā tum ho
na rahbar se hameñ matlab na gumrāhī kā andesha
hamārī manzil-e-maqsad hamāre rahnumā tum ho
tumhāre 'aḳhtar'-e-bīmār kā shāhā ye īmāñ hai
du'ā tum ho davā tum ho sukūñ tum ho shifā tum ho
rasul-e-mursalan tum ho nabi-ul-ambiya tum ho
KHuda ke ba'd jis ki zat hai ya-mustafa tum ho
nigah-e-ahl-e-binish kah rahi hai ba-safa tum ho
KHuda ko jis mein banda dekh le wo aaina tum ho
haqiqat to KHuda par aashkara hai ki kya tum ho
shari'at kahti hai ba'd-az-KHuda ya-mustafa tum ho
KHudai-bhar ki sari KHubiyan tum se numayan hain
KHuda kahta nahin han mazhar-e-shan-e-KHuda tum ho
tumhaara wasf insan ki zaban kar hi nahin sakti
habib-e-kibriya tum ho shah-e-har-do-sara tum ho
na rahbar se hamein matlab na gumrahi ka andesha
hamari manzil-e-maqsad hamare rahnuma tum ho
tumhaare 'aKHtar'-e-bimar ka shaha ye iman hai
du'a tum ho dawa tum ho sukun tum ho shifa tum ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.