raushan hamara dil hai mohammad ke nur se
raushan hamārā dil hai mohammad ke nuur se
laa.e haiñ is charāġh ko ham koh-e-tūr se
muusā ne us ko tuur pe dekhā thā duur se
raushan huī hai sham-e-haram jis ke nuur se
ḳhalvat ho aisī jis meñ farishte na sun sakeñ
ik dil kī baat arz karūñgā huzūr se
us ke karam ne khīñch liyā jāliyoñ ke paas
Dartā thā maiñ salām paḌhā maiñ ne duur se
jab tak nabī kī yaad na dil meñ samā.egī
ḳhālī na hogā dil mirā kibr-o-ġhurūr se
dīdār ho ḳhudā kā ziyārat rasūl kī
firdaus se ġharaz hai na matlab hai huur se
merī nazar ḳhatā na karegī yaqīn hai
pahchān lūñgā hashr meñ hazrat ko duur se
ishq-e-nabī se nashsha-e-irfāñ meñ chuur huuñ
dhoyā hai maiñ ne dil ko sharāb-e-tahūr se
ā.eñge aap dil meñ ye va.ada to kījiye
maiñ ka.aba maañg lūñgā ḳhudā-e-ġhafūr se
rūhul-qudus se ruuh ne paayā hai merī faiz
sīkhī hai na.at-goī baḌe zī-shu.ūr se
taḌpūñgā maiñ firāq-e-nabī meñ tamām umr
ye va.ada le liyā hai dil-e-nā-subūr se
rutbe ko mustafā ke malā.ik se pūchhiye
sajde kā hukm pahle milā hai zuhūr se
'beḳhud' ko jām-e-bāda-e-kausar ho vo atā
jannat meñ jhūmtā rahe jis ke surūr se
raushan hamara dil hai mohammad ke nur se
lae hain is charagh ko hum koh-e-tur se
musa ne us ko tur pe dekha tha dur se
raushan hui hai sham-e-haram jis ke nur se
KHalwat ho aisi jis mein farishte na sun saken
ek dil ki baat arz karunga huzur se
us ke karam ne khinch liya jaliyon ke pas
Darta tha main salam paDha main ne dur se
jab tak nabi ki yaad na dil mein samaegi
KHali na hoga dil mera kibr-o-ghurur se
didar ho KHuda ka ziyarat rasul ki
firdaus se gharaz hai na matlab hai hur se
meri nazar KHata na karegi yaqin hai
pahchan lunga hashr mein hazrat ko dur se
ishq-e-nabi se nashsha-e-irfan mein chur hun
dhoya hai main ne dil ko sharab-e-tahur se
aaenge aap dil mein ye wada to kijiye
main kaba mang lunga KHuda-e-ghafur se
ruhul-qudus se ruh ne paya hai meri faiz
sikhi hai nat-goi baDe zi-shuur se
taDpunga main firaq-e-nabi mein tamam umr
ye wada le liya hai dil-e-na-subur se
rutbe ko mustafa ke malaik se puchhiye
sajde ka hukm pahle mila hai zuhur se
'beKHud' ko jam-e-baada-e-kausar ho wo ata
jannat mein jhumta rahe jis ke surur se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.