samne jis ki nigahon ke madina aaya
sāmne jis kī nigāhoñ ke madīna aaya
lutf ke saath use marnā use jiinā aaya
tābish-e-husn-e-mohammad thī ye me.arāj kī raat
har chamakte hue taare ko pasīna aaya
zindagī vādī-e-yasrib meñ basar karnā thī
hazrat-e-ḳhizr ko jī kar bhī na jiinā aaya
apnī gardish pe isī vajah se nāzāñ hai falak
ki tavāf-e-dar-e-aqdas kā qarīna aaya
baiThe us shān-o-hasham se vo sar-e-zīn-e-burāq
samjhe jibrīl ki ḳhātam meñ nagīna aaya
hauz-e-kausar ke qarīñ mālik-e-kausar kī qasam
vo hai kāfir jo kahe mujh ko na piinā aaya
nāḳhudā jab ho mohammad sā to ham kyoñ na kaheñ
'nūh' tūfān-e-havādis meñ safīnā aaya
samne jis ki nigahon ke madina aaya
lutf ke sath use marna use jina aaya
tabish-e-husn-e-mohammad thi ye mearaj ki raat
har chamakte hue tare ko pasina aaya
zindagi wadi-e-yasrib mein basar karna thi
hazrat-e-KHizr ko ji kar bhi na jina aaya
apni gardish pe isi wajah se nazan hai falak
ki tawaf-e-dar-e-aqdas ka qarina aaya
baiThe us shan-o-hasham se wo sar-e-zin-e-buraq
samjhe jibril ki KHatam mein nagina aaya
hauz-e-kausar ke qarin malik-e-kausar ki qasam
wo hai kafir jo kahe mujh ko na pina aaya
naKHuda jab ho mohammad sa to hum kyon na kahen
'nuh' tufan-e-hawadis mein safina aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.