sab mahw-e-KHwab tu hai haqiqat tujhe salam
sab mahv-e-ḳhvāb tū hai haqīqat tujhe salām
to ne.amat-e-tamām to barakat tujhe salām
terā vajūd hāsil-e-ummat tujhe salām
kartī hai ab to apnī mohabbat tujhe salām
ai mere mehr-o-māh-e-nubuvvat tujhe salām
insāniyat ke ġham meñ tirī chashm tar-ba-tar
bādal ho jaise koī liye bārish guhar
be-barg zindagī ko diyā āb-e-mo'atabar
tujh se milī hayāt ko nuz.hat tujhe salām
ai mere mehr-o-māh-e-nubuvvat tujhe salām
merā qalam javān huā tere zikr se
pastī se āsmān huā tere zikr se
ā.īna ik jahān huā tere zikr se
zor-e-bayāñ hai tujh se salāmat tujhe salām
ai mere mehr-o-māh-e-nubuvvat tujhe salām
baaqī hai tere dam se bharam tere ishq kā
oḌhe hue libāda haiñ ham tere ishq kā
samjheñ ise bhī kyoñ na karam tere ishq kā
kartā huuñ maiñ bhī na.at kī jur.at tujhe salām
ai mere mehr-o-māh-e-nubuvvat tujhe salām
tū hai sarāpā ishq-o-mohabbat kā tarjumāñ
terī har ek baat hai ulfat kī dāstāñ
tujh par nisār ho ke le umr-e-jāvedāñ
tū hai charāġh-e-ḳhāna-e-zulmat tujhe salām
ai mere mehr-o-māh-e-nubuvvat tujhe salām
ḳhairul-anām, rahmat-e-ālam laqab tirā
phir sānī-o-nazīr koī hogā kab tirā
guzrā ḳhudā kī yaad meñ mahbūb-e-rab tirā
ḳhatmur-rusul ba-kār-e-sharī.at tujhe salām
ai mere mehr-o-māh-e-nubuvvat tujhe salām
qur.ān ḳhud hai terī risālat pe ik dalīl
jis ko hirā ke ġhaar meñ laa.e the jibra.īl
mumkin nahīñ hai jis ke liye koī qāl-o-qīl
tū hāmil-e-kitāb-e-risālat tujhe salām
ai mere mehr-o-māh-e-nubuvvat tujhe salām
tū mahfiloñ kī jaan hai tū rūh-e-anjuman
tū sham-e-bazm-e-dil bhī hai tū nūr-e-fikr-o-fan
to raushnī-e-zehn hai tū sāya-e-badan
merī ye na.at terī badaulat tujhe salām
ai mere mehr-o-māh-e-nubuvvat tujhe salām
sab mahw-e-KHwab tu hai haqiqat tujhe salam
to neamat-e-tamam to barakat tujhe salam
tera wajud hasil-e-ummat tujhe salam
karti hai ab to apni mohabbat tujhe salam
ai mere mehr-o-mah-e-nubuwwat tujhe salam
insaniyat ke gham mein teri chashm tar-ba-tar
baadal ho jaise koi liye barish guhar
be-barg zindagi ko diya aab-e-mo'atabar
tujh se mili hayat ko nuzhat tujhe salam
ai mere mehr-o-mah-e-nubuwwat tujhe salam
mera qalam jawan hua tere zikr se
pasti se aasman hua tere zikr se
aaina ek jahan hua tere zikr se
zor-e-bayan hai tujh se salamat tujhe salam
ai mere mehr-o-mah-e-nubuwwat tujhe salam
baqi hai tere dam se bharam tere ishq ka
oDhe hue libaada hain hum tere ishq ka
samjhen ise bhi kyon na karam tere ishq ka
karta hun main bhi nat ki jurat tujhe salam
ai mere mehr-o-mah-e-nubuwwat tujhe salam
tu hai sarapa ishq-o-mohabbat ka tarjuman
teri har ek baat hai ulfat ki dastan
tujh par nisar ho ke le umr-e-jawedan
tu hai charagh-e-KHana-e-zulmat tujhe salam
ai mere mehr-o-mah-e-nubuwwat tujhe salam
KHairul-anam, rahmat-e-alam laqab tera
phir sani-o-nazir koi hoga kab tera
guzra KHuda ki yaad mein mahbub-e-rab tera
KHatmur-rusul ba-kar-e-shariat tujhe salam
ai mere mehr-o-mah-e-nubuwwat tujhe salam
quran KHud hai teri risalat pe ek dalil
jis ko hira ke ghaar mein lae the jibrail
mumkin nahin hai jis ke liye koi qal-o-qil
tu hamil-e-kitab-e-risalat tujhe salam
ai mere mehr-o-mah-e-nubuwwat tujhe salam
tu mahfilon ki jaan hai tu ruh-e-anjuman
tu sham-e-bazm-e-dil bhi hai tu nur-e-fikr-o-fan
to raushni-e-zehn hai tu saya-e-badan
meri ye nat teri badaulat tujhe salam
ai mere mehr-o-mah-e-nubuwwat tujhe salam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.