saba har gul ki peshani pe ye paigham likh dena

saba har gul ki peshani pe ye paigham likh dena
Shamim Anjum Warsi
MORE BYShamim Anjum Warsi
sabā har gul kī peshānī pe ye paiġhām likh denā
mahaktī ḳhushbuoñ se mustafā kā naam likh denā
agar likhnā tavāf-e-kā'ba-e-aqdas muqaddar meñ
to mere naam taiba kī sunahrī shaam likh denā
azal se apne lab par tishnagī maiñ ne sajā.ī hai
mire hisse meñ kausar kā chhalaktā jaam likh denā
nabī ke dar ke zarre ko jamāl-e-kahkashāñ likhnā
to ḳhār-e-kūcha-e-taiba ko bhī gulfām likh denā
sadā palkoñ se maiñ apnī buhārūñ rauza-e-at.har
ḳhudāvandā mirī qismat meñ ye in'ām likh denā
qazā ke baa'd bhī ho sūrat-e-sarkār āñkhoñ meñ
ye tohfa āḳhirat kā bhī hamāre naam likh denā
agar hachkole khaa.e kashtī-e-hastī ‘shamīm-anjum’
to kashtī par imām-ul-ambiyā kā naam likh denā
saba har gul ki peshani pe ye paigham likh dena
mahakti KHushbuon se mustafa ka nam likh dena
agar likhna tawaf-e-ka'ba-e-aqdas muqaddar mein
to mere nam taiba ki sunahri sham likh dena
azal se apne lab par tishnagi main ne sajai hai
mere hisse mein kausar ka chhalakta jam likh dena
nabi ke dar ke zarre ko jamal-e-kahkashan likhna
to KHar-e-kucha-e-taiba ko bhi gulfam likh dena
sada palkon se main apni buhaarun rauza-e-athar
KHudawanda meri qismat mein ye in'am likh dena
qaza ke ba'd bhi ho surat-e-sarkar aankhon mein
ye tohfa aaKHirat ka bhi hamare nam likh dena
agar hachkole khae kashti-e-hasti ‘shamim-anjum’
to kashti par imam-ul-ambiya ka nam likh dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.