sadqa hasnain ka ab ata kijiye
sadqa hasnain kā ab 'atā kījiye
ye karam bhī rasūl-e-ḳhudā kījiye
maiñ bhī rauze pe hāzir kabhī ho sakūñ
dil kā puurā mire mudda'ā kījiye
dījiye bādshāhat jo māñgeñ unheñ
aur madīne kā mujh ko gadā kījiye
jalva-e-haq se dil ho munavvar mirā
rāz-e-haq se mujhe āshnā kījiye
hashr meñ tishna-kāmī baḌhe jab mirī
jām-e-kausar mujhe bhī 'atā kījiye
aap sā rahnumā rab ne ham ko diyā
shukr-e-rab ahl-e-īmāñ adā kījiye
mahfil-e-nā't kī hai mubārak ghaḌī
bā-adab zikr-e-ḳhair-ul-varā kījiye
'aks' ko māñgne kā salīqa nahīñ
dar saḳhāvat kā is pe bhī vā kījiye
sadqa hasnain ka ab 'ata kijiye
ye karam bhi rasul-e-KHuda kijiye
main bhi rauze pe hazir kabhi ho sakun
dil ka pura mere mudda'a kijiye
dijiye baadshahat jo mangen unhen
aur madine ka mujh ko gada kijiye
jalwa-e-haq se dil ho munawwar mera
raaz-e-haq se mujhe aashna kijiye
hashr mein tishna-kaami baDhe jab meri
jam-e-kausar mujhe bhi 'ata kijiye
aap sa rahnuma rab ne hum ko diya
shukr-e-rab ahl-e-iman ada kijiye
mahfil-e-na't ki hai mubarak ghaDi
ba-adab zikr-e-KHair-ul-wara kijiye
'aks' ko mangne ka saliqa nahin
dar saKHawat ka is pe bhi wa kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.