samjho KHuda-e-pak ka mansha huzur se
samjho ḳhudā-e-pāk kā manshā huzūr se
sīkho supurdagī kā salīqa huzūr se
maḳhlūq meñ ḳhudā kī hai insān ko sharaf
insān koī bhī nahīñ achchhā huzūr se
bā’d-az-ḳhudā buzurg yahī zāt-e-pāk hai
sab kuchh hai shash-jihat meñ huvaidā huzūr se
TūTegā har vujūd kā ā.īna ek din
mazbūt rakho jaan kā rishta huzūr se
ḳhair-ul-varā ke sadqe meñ ḳhair-ul-umam hue
jannat huā maqām hamārā huzūr se
har tālib-e-najāt ko is kī ḳhabar kahāñ
miltā hai har najāt kā rasta huzūr se
'vasfī' batāo manzil-e-qausain dekh kar
haq kā alag hai kaunsā jalva huzūr se
samjho KHuda-e-pak ka mansha huzur se
sikho supurdagi ka saliqa huzur se
maKHluq mein KHuda ki hai insan ko sharaf
insan koi bhi nahin achchha huzur se
ba’d-az-KHuda buzurg yahi zat-e-pak hai
sab kuchh hai shash-jihat mein huwaida huzur se
TuTega har wujud ka aaina ek din
mazbut rakho jaan ka rishta huzur se
KHair-ul-wara ke sadqe mein KHair-ul-umam hue
jannat hua maqam hamara huzur se
har talib-e-najat ko is ki KHabar kahan
milta hai har najat ka rasta huzur se
'wasfi' batao manzil-e-qausain dekh kar
haq ka alag hai kaunsa jalwa huzur se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.