sar-e-maidan-e-mahshar jab meri fard-e-amal nikli
sar-e-maidān-e-mahshar jab mirī fard-e-amal niklī
to sab se pahle is meñ na.at-e-hazrat kī ġhazal niklī
tabī.at un ke dīvānoñ kī ab kuchh kuchh sañbhal niklī
havā-e-dasht-e-taiba gulshan-e-jannat meñ chal niklī
baḌā da.avā thā ḳhurshīd-e-qayāmat ko harārat kā
tire abr-e-karam ko dekh kar rangat badal niklī
lipaT kar rah ga.e mujrim tire dāmān-e-rahmat meñ
qayāmat meñ qayāmat kī havā jab tez chal niklī
munavvar kar diyā dāġh-e-jigar ne zarre zarre ko
mire jaate hī merī qabr meñ ik sham.a jal niklī
'munavvar' kaam aa.ī hashr meñ na.at-e-shah-e-vālā
bahut dilkash bahut raushan mirī fard-e-amal niklī
sar-e-maidan-e-mahshar jab meri fard-e-amal nikli
to sab se pahle is mein nat-e-hazrat ki ghazal nikli
tabiat un ke diwanon ki ab kuchh kuchh sanbhal nikli
hawa-e-dasht-e-taiba gulshan-e-jannat mein chal nikli
baDa dawa tha KHurshid-e-qayamat ko hararat ka
tere abr-e-karam ko dekh kar rangat badal nikli
lipaT kar rah gae mujrim tere daman-e-rahmat mein
qayamat mein qayamat ki hawa jab tez chal nikli
munawwar kar diya dagh-e-jigar ne zarre zarre ko
mere jate hi meri qabr mein ek shama jal nikli
'munawwar' kaam aai hashr mein nat-e-shah-e-wala
bahut dilkash bahut raushan meri fard-e-amal nikli
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.