Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sarwar-e-‘ali-maqam jaan-e-do-‘alam ho tum

Behzad Lakhnavi

sarwar-e-‘ali-maqam jaan-e-do-‘alam ho tum

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    sarvar-e-‘ālī-maqām jān-e-do-‘ālam ho tum

    nek-siyar nek-nām hādī-e-ā’zam ho tum

    kaun hai aisā bashar jo nahīñ mamnūn-e-dar

    lutf-kun-e-ḳhās-o-ām rahmat-e-ālam ho tum

    maz.har-e-rabb-e-vadūd kyoñ na paḌheñ sab darūd

    kyoñ na paḌheñ sab salām sab ke mukarram ho tum

    zarra-o-ḳhurshīd kyā markaz-o-tamhīd kyā

    jān-e-ḳhavās-o-‘avām lutf-e-mujassam ho tum

    kyā ye shajar kyā hajar kyā ye malak kyā bashar

    kaun nahīñ hai ġhulām shāh-e-do-‘ālam ho tum

    tum pe zamāna nisār tum ho jahāñ bahār

    tum se hai qaa.em nizām nāzish-e-ādam ho tum

    sarwar-e-‘ali-maqam jaan-e-do-‘alam ho tum

    nek-siyar nek-nam hadi-e-a’zam ho tum

    kaun hai aisa bashar jo nahin mamnun-e-dar

    lutf-kun-e-KHas-o-am rahmat-e-alam ho tum

    mazhar-e-rabb-e-wadud kyon na paDhen sab darud

    kyon na paDhen sab salam sab ke mukarram ho tum

    zarra-o-KHurshid kya markaz-o-tamhid kya

    jaan-e-KHawas-o-‘awam lutf-e-mujassam ho tum

    kya ye shajar kya hajar kya ye malak kya bashar

    kaun nahin hai ghulam shah-e-do-‘alam ho tum

    tum pe zamana nisar tum ho jahan ki bahaar

    tum se hai qaem nizam nazish-e-adam ho tum

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now