suKHan ko rutba mila hai meri zaban ke liye
suḳhan ko rutba milā hai mirī zabāñ ke liye
zabāñ milī hai mujhe na.at ke bayāñ ke liye
zamīñ banā.ī ga.ī kis ke āstāñ ke liye
ki lā-makāñ bhī uThā sarv-qad makāñ ke liye
tire zamāne ke baa.is zamīñ kī raunaq hai
milā zamīn ko rutba tire zamāñ ke liye
kamāl apnā diyā tere badr-e-āriz ko
kalām apnā utārā tirī zabāñ ke liye
nabī hai naar tire dushmanoñ ke jalne ko
bahisht vaqf tire aish-e-jāvedāñ ke liye
thī ḳhush-nasībī-e-arsh-e-barīñ shab-e-me.arāj
ki apne sar pe qadam shāh-e-mursalāñ ke liye
na dī kabhī tire aariz ko mehr se tashbīh
rahā ye daaġh qayāmat tak āsmāñ ke liye
ajab nahīñ jo kahe tere farsh ko koī arsh
ki lā-makāñ kā sharaf hai tire makāñ ke liye
ḳhudā ke sāmne 'mohsin' paḌhūñgā vasf-e-nabī
saje haiñ jhaaḌ ye bātoñ ke lā-makāñ ke liye
suKHan ko rutba mila hai meri zaban ke liye
zaban mili hai mujhe nat ke bayan ke liye
zamin banai gai kis ke aastan ke liye
ki la-makan bhi uTha sarw-qad makan ke liye
tere zamane ke bais zamin ki raunaq hai
mila zamin ko rutba tere zaman ke liye
kamal apna diya tere badr-e-ariz ko
kalam apna utara teri zaban ke liye
nabi hai nar tere dushmanon ke jalne ko
bahisht waqf tere aish-e-jawedan ke liye
thi KHush-nasibi-e-arsh-e-barin shab-e-mearaj
ki apne sar pe qadam shah-e-mursalan ke liye
na di kabhi tere aariz ko mehr se tashbih
raha ye dagh qayamat tak aasman ke liye
ajab nahin jo kahe tere farsh ko koi arsh
ki la-makan ka sharaf hai tere makan ke liye
KHuda ke samne 'mohsin' paDhunga wasf-e-nabi
saje hain jhaD ye baaton ke la-makan ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.