Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

suniye ai sarkar hamare

Behzad Lakhnavi

suniye ai sarkar hamare

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    suniye ai sarkār hamāre

    hind meñ kyā kareñ ham bechāre

    dard-o-alam ne gherā ham ko

    kyā kareñ ham aafat ke maare

    aap ke haiñ ham saare musalmāñ

    bigḌe muqaddar kaun sañvāre

    dekh rahe haiñ haal hamārā

    farsh ke zarre charḳh ke taare

    dekh na paa.e arz-e-muqaddas

    apnī koshish ham kar haare

    ab hai safīna biich bhañvar meñ

    is ko lagā.e kaun kināre

    suniye ai sarkar hamare

    hind mein kya karen hum bechaare

    dard-o-alam ne ghera hum ko

    kya karen hum aafat ke mare

    aap ke hain hum sare musalman

    bigDe muqaddar kaun sanware

    dekh rahe hain haal hamara

    farsh ke zarre charKH ke tare

    dekh na pae arz-e-muqaddas

    apni koshish hum kar haare

    ab hai safina bich bhanwar mein

    is ko lagae kaun kinare

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now