sunte hain ki mahshar mein sirf unki rasai hai

sunte hain ki mahshar mein sirf unki rasai hai
Ahamd Raza Khan Raza
MORE BYAhamd Raza Khan Raza
sunte haiñ ki mahshar meñ sirf un kī rasā.ī hai
gar un kī rasā.ī hai lo jab to ban aa.ī hai
machlā hai ki rahmat ne ummīd bañdhā.ī hai
kyā baat tirī mujrim kyā baat banā.ī hai
sab ne saf-e-mehshar meñ lalkār diyā ham ko
ai bekasoñ ke aaqā ab terī duhā.ī hai
yuuñ to sab unhīñ kā hai par dil kī agar pūchho
ye TuuTe hue dil hī ḳhaas un kī kamā.ī hai
girte huoñ ko muzhda sajde meñ gire maulā
ro ro ke shafā'at kī tamhīd uThā.ī hai
ai dil ye sulagnā kyā jalnā hai to jal bhī uTh
dam ghuTne lagā zālim kyā dhūnī ramā.ī hai
ai 'ishq tire sadqe jalne se chhuTe saste
jo aag bujhā degī vo aag lagā.ī hai
hirs-o-havas-e-bad se dil tū bhī sitam kar le
tū hī nahīñ begāna duniyā hī parā.ī hai
taiba na sahī afzal makka hī baḌā zāhid
ham 'ishq ke bande haiñ kyoñ baat baḌhā.ī hai
matla' meñ ye shak kyā thā vallāh 'razā' vallāh
sirf un kī rasā.ī hai sirf un kī rasā.ī hai
sunte hain ki mahshar mein sirf un ki rasai hai
gar un ki rasai hai lo jab to ban aai hai
machla hai ki rahmat ne ummid bandhai hai
kya baat teri mujrim kya baat banai hai
sab ne saf-e-mehshar mein lalkar diya hum ko
ai bekason ke aaqa ab teri duhai hai
yun to sab unhin ka hai par dil ki agar puchho
ye TuTe hue dil hi KHas un ki kamai hai
girte huon ko muzhda sajde mein gire maula
ro ro ke shafa'at ki tamhid uThai hai
ai dil ye sulagna kya jalna hai to jal bhi uTh
dam ghuTne laga zalim kya dhuni ramai hai
ai 'ishq tere sadqe jalne se chhuTe saste
jo aag bujha degi wo aag lagai hai
hirs-o-hawas-e-bad se dil tu bhi sitam kar le
tu hi nahin begana duniya hi parai hai
taiba na sahi afzal makka hi baDa zahid
hum 'ishq ke bande hain kyon baat baDhai hai
matla' mein ye shak kya tha wallah 'raza' wallah
sirf un ki rasai hai sirf un ki rasai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.