tasawwuraat mein anwar dekhne wale
tasavvurāt meñ anvār dekhne vaale
haiñ jald rauza-e-sarkār dekhne vaale
tire nisār tahī-dāmanoñ meñ ham bhī haiñ
idhar bhī chashm-e-guhar-bār dekhne vaale
kabhī na uljhegī mujh se ye gardish-e-ayyām
mujhe haiñ ahmad-e-muḳhtār dekhne vaale
sivā.e dīd-e-madīna 'ilāj nā-mumkin
ye jaan leñ mujhe bīmār dekhne vaale
nasīb se mujhe ye ġham mile haiñ ranj na kar
mujhe ġhamoñ meñ giraftār dekhne vaale
surūr-e-bāda-e-hubb-e-nabī se be-ḳhud huuñ
mirī nigāhoñ se hushiyār dekhne vaale
vafūr-e-'ishq hī samjheñge merī nā’toñ ko
nigāh-e-fan se qalam-kār dekhne vaale
ba-faiz-e-sāhib-e-me'rāj 'ishq meñ 'aḳhtar'
ham āsmāñ ke haiñ us paar dekhne vaale
tasawwuraat mein anwar dekhne wale
hain jald rauza-e-sarkar dekhne wale
tere nisar tahi-damanon mein hum bhi hain
idhar bhi chashm-e-guhar-bar dekhne wale
kabhi na uljhegi mujh se ye gardish-e-ayyam
mujhe hain ahmad-e-muKHtar dekhne wale
siwae did-e-madina 'ilaj na-mumkin
ye jaan len mujhe bimar dekhne wale
nasib se mujhe ye gham mile hain ranj na kar
mujhe ghamon mein giraftar dekhne wale
surur-e-baada-e-hubb-e-nabi se be-KHud hun
meri nigahon se hushiyar dekhne wale
wafur-e-'ishq hi samjhenge meri na’ton ko
nigah-e-fan se qalam-kar dekhne wale
ba-faiz-e-sahib-e-me'raj 'ishq mein 'aKHtar'
hum aasman ke hain us par dekhne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.