the wahan gamzan haq ke pyare
the vahāñ gāmzan haq ke pyāre
ik farishta jahāñ par na maare
vo jo ġhurbat meñ de deñ sahāre
ḳhud musāfir ko manzil pukāre
bhiik do aamna ke dulāre
ik bhikārī hai dāman pasāre
un ke aañsū hasīñ aur itne
jaise arsh-e-ilāhī ke taare
muskurāne meñ kausar kī maujeñ
aur tabassum meñ rahmat ke dhāre
sajda-rez un ke qadmoñ pe sāhil
un se tūfāñ kināre kināre
un kī kamlī ho yā un ke gesū
merī baḳhshish ke donoñ sahāre
aisī kamlī ki isyāñ ko Dhāñke
aisā gesū jo uqbā sañvāre
vo zabānī suneñ ġhair-mumkin
haañ agar koī dil se pukāre
ai 'nazīr' un kī rahmat ke qurbāñ
jī rahā huuñ unhīñ ke sahāre
the wahan gamzan haq ke pyare
ek farishta jahan par na mare
wo jo ghurbat mein de den sahaare
KHud musafir ko manzil pukare
bhik do aamna ke dulare
ek bhikari hai daman pasare
un ke aansu hasin aur itne
jaise arsh-e-ilahi ke tare
muskurane mein kausar ki maujen
aur tabassum mein rahmat ke dhaare
sajda-rez un ke qadmon pe sahil
un se tufan kinare kinare
un ki kamli ho ya un ke gesu
meri baKHshish ke donon sahaare
aisi kamli ki isyan ko Dhanke
aisa gesu jo uqba sanware
wo zabani sunen ghair-mumkin
han agar koi dil se pukare
ai 'nazir' un ki rahmat ke qurban
ji raha hun unhin ke sahaare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.