Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tere huzur mein sajde guzarta hun main

Behzad Lakhnavi

tere huzur mein sajde guzarta hun main

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    tire huzūr meñ sajde guzārtā huuñ maiñ

    isī tarah se muqaddar sañvārtā huuñ maiñ

    tujhe ḳhabar hai tujhe 'ilm hai tujhe mā'lūm

    har ek haal meñ tujh ko pukārtā huuñ maiñ

    bichhī huī hai isī tarh se bisāt-e-alam

    na jīt.tā huuñ maiñ baazī na hārtā huuñ maiñ

    tirā karam hai ki maiñ ḳhud huuñ nā-ḳhudā apnā

    jo ġharq hotī hai kashtī ubhārtā huuñ maiñ

    ‘alīm hai ḳhabīr-o-qādir-e-kul

    tujhe ḳhabar hai ki dil kis pe vārtā huuñ maiñ

    nahīñ hai tujh pe bharosa to aur ye kyā hai

    ki do-jahān ko Thokar pe mārtā huuñ maiñ

    bahā rahā huuñ jo aañsū ye pai-ba-pai 'bahzād'

    kisī ke naam ke sadqe utārtā huuñ maiñ

    tere huzur mein sajde guzarta hun main

    isi tarah se muqaddar sanwarta hun main

    tujhe KHabar hai tujhe 'ilm hai tujhe ma'lum

    har ek haal mein tujh ko pukarta hun main

    bichhi hui hai isi tarh se bisat-e-alam

    na jitta hun main bazi na haarta hun main

    tera karam hai ki main KHud hun na-KHuda apna

    jo gharq hoti hai kashti ubhaarta hun main

    tu hi ‘alim hai tu hi KHabir-o-qadir-e-kul

    tujhe KHabar hai ki dil kis pe warta hun main

    nahin hai tujh pe bharosa to aur ye kya hai

    ki do-jahan ko Thokar pe marta hun main

    baha raha hun jo aansu ye pai-ba-pai 'bahzad'

    kisi ke nam ke sadqe utarta hun main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now