tum par main lakh jaan se qurban ya-rasul
tum par maiñ laakh jaan se qurbān yā-rasūl
bar aa.eñ mere dil ke bhī armān yā-rasūl
kyoñ dil se maiñ fidā na karūñ jaan yā-rasūl
rahte haiñ is meñ aap ke armān yā-rasūl
kushta huuñ rū-e-pāk kā niklūñ jo qabr se
jaarī mirī zabāñ pe ho qur.ān yā-rasūl
duniyā se aur kuchh nahīñ matlūb hai mujhe
le jā.ūñ apne saath meñ īmān yā-rasūl
is shauq meñ ki aap ke dāman se jā mile
maiñ chaak kar rahā huuñ garebān yā-rasūl
mushkil-kushā haiñ aap 'amīr' aap kā ġhulām
ab is kī mushkileñ bhī hoñ āsān yā-rasūl
tum par main lakh jaan se qurban ya-rasul
bar aaen mere dil ke bhi arman ya-rasul
kyon dil se main fida na karun jaan ya-rasul
rahte hain is mein aap ke arman ya-rasul
kushta hun ru-e-pak ka niklun jo qabr se
jari meri zaban pe ho quran ya-rasul
duniya se aur kuchh nahin matlub hai mujhe
le jaun apne sath mein iman ya-rasul
is shauq mein ki aap ke daman se ja mile
main chaak kar raha hun gareban ya-rasul
mushkil-kusha hain aap 'amir' aap ka ghulam
ab is ki mushkilen bhi hon aasan ya-rasul
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.