tu jo allah ka mahbub hua KHub hua
tū jo allāh kā mahbūb huā ḳhuub huā
yā-nabī ḳhuub huā ḳhuub huā ḳhuub huā
shab-e-me.arāj ye kahte the farishte bāham
suḳhan-e-tālib-o-matlūb huā ḳhuub huā
ai shahanshāh-e-rusul faḳhr-e-rusul ḳhatm-e-rusul
ḳhuub se ḳhuub ḳhush-uslūb huā ḳhuub huā
hashr meñ ummat-e-āsī kā Thikānā hī na thā
baḳhshvānā tujhe marġhūb huā ḳhuub huā
husn-e-yūsuf meñ tirā nuur thā ai nūr-e-ḳhudā
chāra-e-dīda-e-yāqūb huā ḳhuub huā
the sabhī pesh-e-nazar ma.arka-e-karb-o-balā
sabr meñ sānī-e-ayyūb huā ḳhuub huā
faḳhr aadam ko na hotā jo farishta hotā
banī-ādam se jo mansūb huā ḳhuub huā
'dāġh' hai roz-e-qayāmat mirī sharm us ke haath
maiñ gunāhoñ se jo mahjūb huā ḳhuub huā
tu jo allah ka mahbub hua KHub hua
ya-nabi KHub hua KHub hua KHub hua
shab-e-mearaj ye kahte the farishte baham
suKHan-e-talib-o-matlub hua KHub hua
ai shahanshah-e-rusul faKHr-e-rusul KHatm-e-rusul
KHub se KHub KHush-uslub hua KHub hua
hashr mein ummat-e-asi ka Thikana hi na tha
baKHshwana tujhe marghub hua KHub hua
husn-e-yusuf mein tera nur tha ai nur-e-KHuda
chaara-e-dida-e-yaqub hua KHub hua
the sabhi pesh-e-nazar marka-e-karb-o-bala
sabr mein sani-e-ayyub hua KHub hua
faKHr aadam ko na hota jo farishta hota
bani-adam se jo mansub hua KHub hua
'dagh' hai roz-e-qayamat meri sharm us ke hath
main gunahon se jo mahjub hua KHub hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.