tu maqsad-e-taKHliq hai tu hasil-e-iman
tū maqsad-e-taḳhlīq hai tū hāsil-e-īmāñ
jo tujh se gurezāñ vo ḳhudā se hai gurezāñ
kirdār kā ye haal sadāqat hī sadāqat
aḳhlāq kā ye rang ki qur.ān hī qur.āñ
kyā naam hai shāmil jo hai takbīr-o-azāñ meñ
is naam kī azmat ke haiñ qurbān dil-o-jāñ
ashkoñ se tire diin kī khetī huī sairāb
fāqoñ ne tire dahr ko baḳhshā sar-o-sāmāñ
insān ko shā.ista-o-ḳhud.dār banāyā
tahzīb-o-tamaddun tire sharminda-e-ehsāñ
rahmat kā ye aalam hai muravvat kā ye andāz
'māhir' sā gunahgār hai vābasta-e-dāmāñ
tu maqsad-e-taKHliq hai tu hasil-e-iman
jo tujh se gurezan wo KHuda se hai gurezan
kirdar ka ye haal sadaqat hi sadaqat
aKHlaq ka ye rang ki quran hi quran
kya nam hai shamil jo hai takbir-o-azan mein
is nam ki azmat ke hain qurban dil-o-jaan
ashkon se tere din ki kheti hui sairab
faqon ne tere dahr ko baKHsha sar-o-saman
insan ko shaista-o-KHuddar banaya
tahzib-o-tamaddun tere sharminda-e-ehsan
rahmat ka ye aalam hai murawwat ka ye andaz
'mahir' sa gunahgar hai wabasta-e-daman
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.