ummat ke sarbarah mere mustafa jo hain
ummat ke sarbarāh mire mustafā jo haiñ
mushkil ko hal kareñge vo mushkil-kushā jo haiñ
har ummatī ke ghar meñ ujālā zarūr hai
ummat ke ḳhair-ḳhvāh vo nūr-e-ḳhudā jo haiñ
kashtī meñ jā rahā huuñ zamīn-e-hijāz par
hāfiz ḳhudā hai saath vo salle-'alā jo haiñ
'nāsir' na Dar ki terī shafā'at kareñge vo
mahshar meñ aaj shāfe'-e-roz-e-jazā jo haiñ
ummat ke sarbarah mere mustafa jo hain
mushkil ko hal karenge wo mushkil-kusha jo hain
har ummati ke ghar mein ujala zarur hai
ummat ke KHair-KHwah wo nur-e-KHuda jo hain
kashti mein ja raha hun zamin-e-hijaz par
hafiz KHuda hai sath wo salle-'ala jo hain
'nasir' na Dar ki teri shafa'at karenge wo
mahshar mein aaj shafe'-e-roz-e-jaza jo hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.