zaban par hamd-e-rab aur naghma-e-salle-ala hoga
zabāñ par hamd-e-rab aur naġhma-e-sall-e-alā hogā
bahār-e-ḳhuld hogī hājiyoñ kā qāfila hogā
sukūn-e-qalb kā marham milegā saare haajī ko
madīne meñ har ik armān kā gulshan khilā hogā
vo manzar kis qadar hogā hasīñ jab chāh-e-zamzam par
divānoñ tishna-kāmoñ kā hasīñ mela lagā hogā
minā kī vaadī aur ‘arfāt ke maidān ka manzar
ḳhudā hī jaane kitnā pur-kashish aur ḳhushnumā hogā
chalo ai hājiyo makke se ab shahr-e-madīna ko
vahāñ par maujzan sarkār kā bahr-e-'atā hogā
dam-e-ruḳhsat kisī kī aañkh pur-nam hogī hasrat se
koī muḌ-muḌ ke rauza mustafā kā tak rahā hogā
shahanshāh-e-madīna kī sifārish aur baḳhshish se
gunahgāroñ ke haq meñ hashr ke din faisla hogā
dar-e-sarkār par jab hogī apnī hāzirī 'ashraf'
murādoñ ke gul-e-tāza se phir dāman bharā hogā
zaban par hamd-e-rab aur naghma-e-sall-e-ala hoga
bahaar-e-KHuld hogi hajiyon ka qafila hoga
sukun-e-qalb ka marham milega sare haji ko
madine mein har ek arman ka gulshan khila hoga
wo manzar kis qadar hoga hasin jab chah-e-zamzam par
diwanon tishna-kaamon ka hasin mela laga hoga
mina ki wadi aur ‘arfat ke maidan ka manzar
KHuda hi jaane kitna pur-kashish aur KHushnuma hoga
chalo ai hajiyo makke se ab shahr-e-madina ko
wahan par maujzan sarkar ka bahr-e-'ata hoga
dam-e-ruKHsat kisi ki aankh pur-nam hogi hasrat se
koi muD-muD ke rauza mustafa ka tak raha hoga
shahanshah-e-madina ki sifarish aur baKHshish se
gunahgaron ke haq mein hashr ke din faisla hoga
dar-e-sarkar par jab hogi apni haziri 'ashraf'
muradon ke gul-e-taza se phir daman bhara hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.