Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zaban par junhi aaya nam-e-mohamad

Behzad Lakhnavi

zaban par junhi aaya nam-e-mohamad

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    zabāñ par jūñhī aaya nām-e-mohamād

    jhukā dil pa.e-ehtirām-e-mohammad

    mire lab pe merī zabāñ par hai har-dam

    darūd-e-mohammad salām-e-mohammad

    mohammad ke jalvoñ ke dariyā bahe haiñ

    nahīñ hai koī tishna-kām-e-mohammad

    mirī ruuh ko haal kyūñkar na aa.e

    liyā hai mire dil ne nām-e-mohamād

    kalām-e-ḳhudā ḳhud is hai shāhid

    kalām-e-ḳhudā hai kalām-e-mohammad

    ye hasrat hai dil meñ ye armāñ hai dil meñ

    koī le ke aa.e payām-e-mohammad

    yahī merī 'bahzād' bas bandagī hai

    liye jā.ūñ din-rāt nām-e-mohamād

    zaban par junhi aaya nam-e-mohamad

    jhuka dil pae-ehtiram-e-mohammad

    mere lab pe meri zaban par hai har-dam

    darud-e-mohammad salam-e-mohammad

    mohammad ke jalwon ke dariya bahe hain

    nahin hai koi tishna-kaam-e-mohammad

    meri ruh ko haal kyunkar na aae

    liya hai mere dil ne nam-e-mohamad

    kalam-e-KHuda KHud hi is ka hai shahid

    kalam-e-KHuda hai kalam-e-mohammad

    ye hasrat hai dil mein ye arman hai dil mein

    koi le ke aae payam-e-mohammad

    yahi meri 'bahzad' bas bandagi hai

    liye jaun din-raat nam-e-mohamad

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now