zamin ko naz hai us ja jahan hai naqsh-e-pa tera
zamīñ ko naaz hai us jā jahāñ hai naqsh-e-pā terā
judā hai shaan terī aur judā hai martaba terā
jahāñ miltī hai sairābī hamārī tishna-kāmī ko
jahāñ jaarī hai chashma faiz kā sub.h-o-masā terā
tū hī mahbūb-e-haq matlūb-e-haq marġhūb-e-haq bhī hai
ta.āruf pesh meñ kaise karūñ salle-alā terā
munavvar hai tirā naqsh-e-qadam arsh-e-muallā tak
abhī tak lams kā haamī hai vo ġhār-e-hirā terā
tirī tausīf hai marqūm sab aurāq-e-qur.āñ meñ
kalām-e-pāk meñ hai ḳhud sanā-ḳhvāñ kibriyā terā
ḳhudā ke saath terā naam letā hai sadā 'mahshar'
bahut bartar hai sab se martaba ba'ad-e-ḳhudā terā
zamin ko naz hai us ja jahan hai naqsh-e-pa tera
juda hai shan teri aur juda hai martaba tera
jahan milti hai sairabi hamari tishna-kaami ko
jahan jari hai chashma faiz ka subh-o-masa tera
tu hi mahbub-e-haq matlub-e-haq marghub-e-haq bhi hai
taaruf pesh mein kaise karun salle-ala tera
munawwar hai tera naqsh-e-qadam arsh-e-mualla tak
abhi tak lams ka hami hai wo ghaar-e-hira tera
teri tausif hai marqum sab auraq-e-quran mein
kalam-e-pak mein hai KHud sana-KHwan kibriya tera
KHuda ke sath tera nam leta hai sada 'mahshar'
bahut bartar hai sab se martaba ba'ad-e-KHuda tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.