Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zeb-e-farsh-e-jahan rasul-e-KHuda

Behzad Lakhnavi

zeb-e-farsh-e-jahan rasul-e-KHuda

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    zeb-e-farsh-e-jahāñ rasūl-e-ḳhudā

    zīnat-e-āsmāñ rasūl-e-ḳhudā

    baḳhshvā.eñge ek din sab ko

    hāmī-e-āsiyāñ rasūl-e-ḳhudā

    bānī-e-lafz-e-kun hai zaat un

    vaj.h-e-kaun-o-makāñ rasūl-e-ḳhudā

    vāqif-e-rāz-e-ibtidā bhī haiñ

    ḳhatm-e-paiġham-barāñ rasūl-e-ḳhudā

    ḳhāliq-e-do-jahāñ bhī hai raazī

    haiñ agar mehrbāñ rasūl-e-ḳhudā

    nūr-e-mehr-o-mah-o-kavākib kyā

    sab meñ jalva-kunāñ rasūl-e-ḳhudā

    dekhnā hai ye ham ko ai 'bahzād'

    kab bulā.eñ vahāñ rasūl-e-ḳhudā

    zeb-e-farsh-e-jahan rasul-e-KHuda

    zinat-e-asman rasul-e-KHuda

    baKHshwaenge ek din sab ko

    hami-e-asiyan rasul-e-KHuda

    bani-e-lafz-e-kun hai zat un ki

    wajh-e-kaun-o-makan rasul-e-KHuda

    waqif-e-raaz-e-ibtida bhi hain

    KHatm-e-paigham-baran rasul-e-KHuda

    KHaliq-e-do-jahan bhi hai raazi

    hain agar mehrban rasul-e-KHuda

    nur-e-mehr-o-mah-o-kawakib kya

    sab mein jalwa-kunan rasul-e-KHuda

    dekhna hai ye hum ko ai 'bahzad'

    kab bulaen wahan rasul-e-KHuda

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now