aaKHirii daliil
tumhaarii mohabbat
ab pahle se zyaada insaaf chaahtii hai
sub.h baarish ho rahii thii
jo tumhe.n udaas kar detii hai
is manzar ko laa-zavaal ban.ne kaa haq thaa
is khi.Dkii ko sabze kii taraf kholte hu.e
tumhe.n ek mu.haasare me.n aa.e dil kii yaad nahii.n aa.ii
ek gum-naam pul par
tum ne apne aap se mazbuut lahje me.n kahaa
mujhe akele rahnaa hai
mohabbat ko tum ne
hairat-zada kar dene vaalii KHush-qismatii nahii.n samjhaa
merii qismat jahaaz-raanii ke kaar-KHaane me.n nahii.n banii
phir bhii mai.n ne samundar ke faasle tai kiye
pur-asraar taur par KHud ko zinda rakkhaa
aur be-rahmii se shaa.irii kii
mere paas ek mohabbat karne vaale kii
tamaam KHaamiyaa.n
aur aaKHirii daliil hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.