Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

al-butraa

Iftikhar Bukhari

al-butraa

Iftikhar Bukhari

MORE BYIftikhar Bukhari

    kitne samundar

    kitne sahraa

    jangal aur baarishe.n

    be-shumaar aa.iino.n kaa KHaalii-pan

    lamhe yaa sadiyaa.n

    ubuur kar ke

    daaKHil hu.ii

    merii tanhaa.ii

    terii tanhaa.ii me.n

    ai shahar-e-gul-e-surKH

    ai aziim KHuubsuurat patthar

    mujhe KHazaane se

    ko.ii sarokaar nahii.n

    jahaa.n khuu.nTe se ba.ndhaa

    laal gho.Daa

    te.iis sau baras

    kii be-KHvaabii me.n

    iistaada hai

    mujhe faqat terii udaas raat kaa

    ek konaa darkaar hai

    ki merii KHaamoshii

    terii KHaamoshii se kalaam kare

    mere paas afsos kii kahaanii hai

    jise sun kar qadiim chaa.nd

    ret ke aa.nsuu bahaa.egaa

    ki tere maatamii gulaab sairaab ho.n

    u.Dte zamaano.n kii dhajjiyaa.n

    gum-shuda umro.n kii raa.igaanii

    taariiKH kii munaafiq almaariyo.n me.n

    laTakte ustuKHvaa.n

    mujhe amaanat-daar paa.e.nge

    barbaad diivaaro.n kii KHaraasho.n se

    jhaa.nktaa inhimaak nahii.n TuuTegaa

    ai gulaab shahr

    mai.n be-zabaan qissa-go

    ek shab-basarii kaa savaalii huu.n

    tere sangiin darvaaze par

    mai.n tujhe tere jaisaa

    apnaa dil hadiya karuu.ngaa

    patthar kaa gulaab

    tujhe KHaamosh daastaan sunaa.uu.ngaa

    kisii bahut qadiim zamaane kii

    gunaahgaar KHudaa.o.n se duur

    KHaalis ibaadat guzaar a.ndhere me.n

    sub.h-e-abad ke aaKHirii qahqahe se be-niyaaz

    kitne samundar

    kitne sahraa

    jangal aur baarishe.n

    be-shumaar aa.iino.n kaa KHaalii-pan

    lamhe yaa sadiyaa.n

    ubuur kar ke

    daaKHil hu.ii

    merii tanhaa.ii

    terii tanhaa.ii me.n

    ai shahar-e-gul-e-surKH

    ai aziim KHuubsuurat patthar

    mujhe KHazaane se

    ko.ii sarokaar nahii.n

    jahaa.n khuu.nTe se ba.ndhaa

    laal gho.Daa

    te.iis sau baras

    kii be-KHvaabii me.n

    iistaada hai

    mujhe faqat terii udaas raat kaa

    ek konaa darkaar hai

    ki merii KHaamoshii

    terii KHaamoshii se kalaam kare

    mere paas afsos kii kahaanii hai

    jise sun kar qadiim chaa.nd

    ret ke aa.nsuu bahaa.egaa

    ki tere maatamii gulaab sairaab ho.n

    u.Dte zamaano.n kii dhajjiyaa.n

    gum-shuda umro.n kii raa.igaanii

    taariiKH kii munaafiq almaariyo.n me.n

    laTakte ustuKHvaa.n

    mujhe amaanat-daar paa.e.nge

    barbaad diivaaro.n kii KHaraasho.n se

    jhaa.nktaa inhimaak nahii.n TuuTegaa

    ai gulaab shahr

    mai.n be-zabaan qissa-go

    ek shab-basarii kaa savaalii huu.n

    tere sangiin darvaaze par

    mai.n tujhe tere jaisaa

    apnaa dil hadiya karuu.ngaa

    patthar kaa gulaab

    tujhe KHaamosh daastaan sunaa.uu.ngaa

    kisii bahut qadiim zamaane kii

    gunaahgaar KHudaa.o.n se duur

    KHaalis ibaadat guzaar a.ndhere me.n

    sub.h-e-abad ke aaKHirii qahqahe se be-niyaaz

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now