amn
kaa.enaat insaan kii pahlii daryaaft hai
aur KHud-kushii pahlii iijaad
fitrat ne maut taKHliiq kii
aur zindagii ne jhapaTne kaa hunar
taariiKH aisaa roz-naamcha hai jis me.n darj hote hai.n
fat.h karne vaalo.n ke naam
aur haare hu.e logo.n kii gintii
jange.n la.Dii jaatii rahii hai.n
la.Dii jaatii hai.n
aur la.Dii jaatii rahe.ngii
islaah ke naam par
zamiin ke naam par
aur 'aurato.n ke naam par
jang amn kii taraf uThtaa hu.aa pahlaa qadam hai
aur amn kisii aur jang kaa pesh-KHema
kaa.enaat insaan kii pahlii daryaaft hai
aur KHud-kushii pahlii iijaad
fitrat ne maut taKHliiq kii
aur zindagii ne jhapaTne kaa hunar
taariiKH aisaa roz-naamcha hai jis me.n darj hote hai.n
fat.h karne vaalo.n ke naam
aur haare hu.e logo.n kii gintii
jange.n la.Dii jaatii rahii hai.n
la.Dii jaatii hai.n
aur la.Dii jaatii rahe.ngii
islaah ke naam par
zamiin ke naam par
aur 'aurato.n ke naam par
jang amn kii taraf uThtaa hu.aa pahlaa qadam hai
aur amn kisii aur jang kaa pesh-KHema
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.