Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baGair janaaze ke dafnaa.ii ga.ii mohabbat

Hafeez Tabassum

baGair janaaze ke dafnaa.ii ga.ii mohabbat

Hafeez Tabassum

MORE BYHafeez Tabassum

    mai.n ek sanduuq uThaa.e chal rahaa huu.n

    jo maa.n kii aaKHirii nishaanii hai

    jis me.n kuchh chiize.n hai.n

    ek ruumaal jo pahlii mahbuuba kaa tohfa hai

    ek tasviir jo merii nahii.n

    ek zanjiir jo qaid-KHaane me.n

    mere paa.nv kii muhaafiz thii

    aur ek diary bhii

    jis me.n mohabbato.n kii nazme.n likhii hai.n

    buu.Dhe mard kii javaan 'aurat se mohabbat

    pahraa dete kutte kii shaahraah se mohabbat

    pe.D kii aaKHirii patte se mohabbat

    bha.nvar me.n pha.nsii kashtii kii saahil se mohabbat

    suukhe phuul kii kitaab se mohabbat

    khi.Dkii par dastak detii baarish kii mohabbat

    mai.n sanduuq uThaa.e chaltaa rahuu.ngaa

    jab tak ko.ii qabristaan nahii.n aataa

    mai.n ise laa-vaaris qabr me.n dafn kar

    faatiha pa.Dhe baGair lauT aa.uu.ngaa

    sanduuq ke phaT pa.Dne ke Dar se

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now