chalnaa aur sochnaa
shaayad ek saath siikhtaa hai aadmii
chalnaa aur sochnaa
ek sahn me.n
ek din
mai.n siikh gayaa
chalnaa
aur sochnaa
chi.Diyo.n
paudo.n
aur rang bira.nge kii.Do.n ke darmiyaan
maa.n kahtii
tum itnaa chalte ho
ek siidh me.n chalo
to shaam tak pahu.nch jaa.o
kisii aur shahr me.n
mai.n ne aavaargii kii
dopahro.n me.n
akele
taaro.n bharii raato.n me.n
udaas shaa.iro.n
aur jugnu.o.n ke saath
mai.n chaltaa rahaa
galiyo.n me.n
shaah-raaho.n par
juluuso.n me.n
janaazo.n ke saath
sochte hu.e
naa-insaafii inqilaab
maut KHudaa aur jahannum
aur bahut sii fuzuuliyaat
mai.n chaltaa rahaa
baarisho.n me.n
barf-bariiyo.n me.n
dhund me.n
dhuup aur aa.ndhiyo.n me.n
sochte hu.e
jo mai.n bataa saktaa huu.n faKHr se
aur vo bhii
jo mai.n KHud se bhii chhupaataa huu.n
mai.n ajnabii mulko.n me.n gayaa
tanhaa chalne ke liye
tanhaa sochne ke liye
ab mai.n lauT aayaa huu.n
Dhaltii umr me.n
baGair kahii.n pahu.nche hu.e
ab mai.n kahii.n nahii.n jaataa
par ab bhii chaltaa huu.n
har roz
kam-az-kam
ek ghanTa
tez tez
paa.o.n chakkii par
ye sochte hu.e
ki mai.n kab tak chaluu.ngaa
mai.n kab tak sochuu.ngaa
shaayad ek saath siikhtaa hai aadmii
chalnaa aur sochnaa
ek sahn me.n
ek din
mai.n siikh gayaa
chalnaa
aur sochnaa
chi.Diyo.n
paudo.n
aur rang bira.nge kii.Do.n ke darmiyaan
maa.n kahtii
tum itnaa chalte ho
ek siidh me.n chalo
to shaam tak pahu.nch jaa.o
kisii aur shahr me.n
mai.n ne aavaargii kii
dopahro.n me.n
akele
taaro.n bharii raato.n me.n
udaas shaa.iro.n
aur jugnu.o.n ke saath
mai.n chaltaa rahaa
galiyo.n me.n
shaah-raaho.n par
juluuso.n me.n
janaazo.n ke saath
sochte hu.e
naa-insaafii inqilaab
maut KHudaa aur jahannum
aur bahut sii fuzuuliyaat
mai.n chaltaa rahaa
baarisho.n me.n
barf-bariiyo.n me.n
dhund me.n
dhuup aur aa.ndhiyo.n me.n
sochte hu.e
jo mai.n bataa saktaa huu.n faKHr se
aur vo bhii
jo mai.n KHud se bhii chhupaataa huu.n
mai.n ajnabii mulko.n me.n gayaa
tanhaa chalne ke liye
tanhaa sochne ke liye
ab mai.n lauT aayaa huu.n
Dhaltii umr me.n
baGair kahii.n pahu.nche hu.e
ab mai.n kahii.n nahii.n jaataa
par ab bhii chaltaa huu.n
har roz
kam-az-kam
ek ghanTa
tez tez
paa.o.n chakkii par
ye sochte hu.e
ki mai.n kab tak chaluu.ngaa
mai.n kab tak sochuu.ngaa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.