Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chaltii rahtii hai

Iftikhar Bukhari

chaltii rahtii hai

Iftikhar Bukhari

MORE BYIftikhar Bukhari

    chaltii rahtii hai

    daa.e.n baa.e.n

    aage piichhe

    saath saath

    dhiire dhiire

    yaa tez qadmo.n se

    jaise KHiraam kartii hai havaa

    be-panaah raato.n me.n

    kaa.nTo.n aur jhaa.Diyo.n me.n

    be-KHabarii ke naqsho.n me.n

    chaltii rahtii hai

    ko.ii be-ma.anii guftuguu

    umr guzaarne ke liye

    duuriyo.n ke darmiyaan

    hijr-o-visaal ke kohre me.n

    yaKH-basta KHaamosh rasto.n me.n

    chaltii rahtii hai

    kuchh der tak

    ko.ii naa-qaabil-e-fahm chaal

    apne KHilaaf

    aazurda vus.ato.n kii bisaat par

    azal aur abad kii be-ma.anii hameshgii me.n

    jiine kii justujuu me.n

    marne kii aarzuu me.n

    chaltii rahtii hai

    daa.e.n baa.e.n

    aage piichhe

    saath saath

    dhiire dhiire

    yaa tez qadmo.n se

    jaise KHiraam kartii hai havaa

    be-panaah raato.n me.n

    kaa.nTo.n aur jhaa.Diyo.n me.n

    be-KHabarii ke naqsho.n me.n

    chaltii rahtii hai

    ko.ii be-ma.anii guftuguu

    umr guzaarne ke liye

    duuriyo.n ke darmiyaan

    hijr-o-visaal ke kohre me.n

    yaKH-basta KHaamosh rasto.n me.n

    chaltii rahtii hai

    kuchh der tak

    ko.ii naa-qaabil-e-fahm chaal

    apne KHilaaf

    aazurda vus.ato.n kii bisaat par

    azal aur abad kii be-ma.anii hameshgii me.n

    jiine kii justujuu me.n

    marne kii aarzuu me.n

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now