dast-bardaarii
ham aazaadii se intiKHaab karte hai.n
aur phir jazbaatii vaabastagii ke naam par
KHud ko girvii rakh dete hai.n
hame.n 'aadat Daalii jaatii hai
tamaam mahaazo.n ko fat.h karne kii
jiitne kii
mazbuut rahne kii
aur achchhaa ban.ne kii
is ke badle ham se taaqat chhiin lii jaatii hai
inkaar karne kii
haar maan.ne kii
aur sach kaa iz.haar karne kii
ek taviil masaafat hame.n thakaa detii hai
ham uktaa jaate hai.n ek hii tarah ke manaazir se
ham bezaar ho jaate hai.n ka.ii baar kii sunii hu.ii baato.n se
aur dilchaspii kho dete hai.n ka.ii baar ke dekhe hu.e chehro.n me.n
hame.n tasliim kar lenaa chaahiye
har chiiz ke iKHtitaam ko
alaihadgii ko
thak jaane ko
aur ek duusre me.n dilchaspii kho dene ko
hame.n tayyaar rahnaa chaahiye
kisii bhii lamhe kuchh bhii ho jaane ko
anjaane safaro.n par nikalne ko
kabhii na mil sakne ke liye bichha.Dne ko
aur muskuraate hu.e sab se 'aziiz shaKHs ko alvidaa' kahne ko
hame.n sipurd kar denaa chaahiye KHud ko
zindagii kii baa.nho.n me.n
aur bah jaane denaa chaahiye
vaqt kii rau me.n
aur jiinaa chaahiye
apne lamha-e-maujuud me.n
aur dast-bardaar ho jaanaa chaahiye
tamaam zimmadaariyo.n se
aur KHud se

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.