Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dost

MORE BYQamar Abbas Alvi

    aise dost ko bhuul jaanaa chaahiye

    jis ke paas puraanii baate.n duhraane ke 'alaava kuchh na ho

    jis kaa kul sarmaaya latiife aur ash'aar ho.n

    jise raat ko jaldii sone kii 'aadat ho

    jis kii ko.ii girl-friend na ho

    yaa jis ne teenages ke baa'd bhii kabhii mubaasharat na kii ho

    ek achchhaa dost achchhaa saame' hotaa hai

    vo tamaam alfaaz sun aur samajh saktaa hai jo kabhii zabaan se adaa nahii.n hote

    vo aa.nkho.n me.n chhupii thakan ko pahchaan saktaa hai

    aur baato.n me.n chhupii tanhaa.ii ko

    dost sharaab kaa vo aaKHirii ghuu.nT hai jise halaq se niiche utaarne ke liye lambii saa.ns chaahiye

    coffee kaa vo cup hai jo ThanDii ho ke bhii zaa.iqa tabdiil nahii.n kartii

    vo nazm hai jo kabhii mukammal nahii.n hotii

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now