Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

duusraa naam

Asif Jaanif

duusraa naam

Asif Jaanif

MORE BYAsif Jaanif

    KHair-KHvaahii bakvaas kaa duusraa naam hai

    hai ko.ii aap kaa KHair-KHvaah

    agar hai to apnii zindagii kii fikr karo

    zindagii KHvaab kaa duusraa naam hai

    ye aaKHirii baar mujhe

    kisii bistar par milii thii

    ho.nTo.n kii shakl me.n

    phir merii aa.nkh khul ga.ii

    aa.nkh dhoke kaa duusraa naam hai

    andhe dhokaa nahii.n khaate

    unhe.n farq nahii.n pa.Dtaa chaahe din ho

    chaahe raat

    raat din kaa aur din raat kaa duusraa naam hai

    ye mai.n samajhtaa huu.n ye merii marzii hai

    raat ko mujhe nii.nd nahii.n aatii

    din ko nii.nd ke liye vaqt nahii.n miltaa

    ho saktaa hai

    ye KHudaa kii marzii ho

    KHudaa KHaalii jagah kaa duusraa naam hai

    vo KHaalii jagah jis ko ham

    pur nahii.n kar sakte haa.n kabhii nahii.n

    KHair-KHvaahii bakvaas kaa duusraa naam hai

    hai ko.ii aap kaa KHair-KHvaah

    agar hai to apnii zindagii kii fikr karo

    zindagii KHvaab kaa duusraa naam hai

    ye aaKHirii baar mujhe

    kisii bistar par milii thii

    ho.nTo.n kii shakl me.n

    phir merii aa.nkh khul ga.ii

    aa.nkh dhoke kaa duusraa naam hai

    andhe dhokaa nahii.n khaate

    unhe.n farq nahii.n pa.Dtaa chaahe din ho

    chaahe raat

    raat din kaa aur din raat kaa duusraa naam hai

    ye mai.n samajhtaa huu.n ye merii marzii hai

    raat ko mujhe nii.nd nahii.n aatii

    din ko nii.nd ke liye vaqt nahii.n miltaa

    ho saktaa hai

    ye KHudaa kii marzii ho

    KHudaa KHaalii jagah kaa duusraa naam hai

    vo KHaalii jagah jis ko ham

    pur nahii.n kar sakte haa.n kabhii nahii.n

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now