ek aur iftiKHaar ke naam
tum to kahte the
duniyaa badalne ko hai
chhoTe chhoTe the ham
falsafii kah ke sab chhe.Dte the tumhe.n
fulaa.n ne kahaa hai
fulaa.n ne likhaa hai
kitaabo.n se dete the aksar havaale
savere savere
mujhe roz le jaate the
saath stall par
muft aKHbaar pa.Dhne
ye dhun thii
ki bas ho na ho
aaj duniyaa badalne kii achchhii KHabar
chhap ga.ii ho
zamaane kii aa.ndhii me.n u.Dte hu.e
Tuk.De aKHbaar ke
ham judaa ho ga.e
phir mile hii nahii.n
iftiKHaar
ab mire shiisha-e-umr me.n
aaKHirii ret hai
chand aa.inda aKHbaar baaqii hai.n shaayad
tire naqsh dhu.ndlaa chuke hai.n
mirii yaad me.n
par tiraa naam mai.n bhuul saktaa nahii.n
mere bachpan ke ai dost
ham dono.n hamnaam the naa
nahii.n jaantaa
tum kahaa.n ho
yaa shaayad nahii.n ho abhii tak
mirii tarah duniyaa me.n
duniyaa jo badlii nahii.n
haa.n
jo stall thaa naa
vo aKHbaar kaa
railway road par
us jagah ek juuto.n kii dukaan hai
us zamaane ke hawker sabhii mar chuke hai.n
tum to kahte the
duniyaa badalne ko hai
chhoTe chhoTe the ham
falsafii kah ke sab chhe.Dte the tumhe.n
fulaa.n ne kahaa hai
fulaa.n ne likhaa hai
kitaabo.n se dete the aksar havaale
savere savere
mujhe roz le jaate the
saath stall par
muft aKHbaar pa.Dhne
ye dhun thii
ki bas ho na ho
aaj duniyaa badalne kii achchhii KHabar
chhap ga.ii ho
zamaane kii aa.ndhii me.n u.Dte hu.e
Tuk.De aKHbaar ke
ham judaa ho ga.e
phir mile hii nahii.n
iftiKHaar
ab mire shiisha-e-umr me.n
aaKHirii ret hai
chand aa.inda aKHbaar baaqii hai.n shaayad
tire naqsh dhu.ndlaa chuke hai.n
mirii yaad me.n
par tiraa naam mai.n bhuul saktaa nahii.n
mere bachpan ke ai dost
ham dono.n hamnaam the naa
nahii.n jaantaa
tum kahaa.n ho
yaa shaayad nahii.n ho abhii tak
mirii tarah duniyaa me.n
duniyaa jo badlii nahii.n
haa.n
jo stall thaa naa
vo aKHbaar kaa
railway road par
us jagah ek juuto.n kii dukaan hai
us zamaane ke hawker sabhii mar chuke hai.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.