ek ehsaas
havaa-e-sard pe jaltaa badan liye
pathraa.ii aa.nkho.n ke saath
ye shaam barso.n par muhiit hai
aur is ke dhu.ndalke me.n tanhaa.ii
sisaktii saa.nse.n bhar rahii hai
viiraanii ke is 'aalam me.n
shal ho ga.ii hai soch merii
kabhii lak.Dii kii nok se
barfiilii zamiin ko chhedtii huu.n
kabhii aasmaan kii taraf dekhtii huu.n
yaado.n me.n lipTaa dil liye ye sochtii huu.n
ki hijrat ke safar me.n duuriyaa.n o.Dh kar
hamdardii se kyo.n mile log mujhe
havaa-e-sard pe jaltaa badan liye
pathraa.ii aa.nkho.n ke saath
ye shaam barso.n par muhiit hai
aur is ke dhu.ndalke me.n tanhaa.ii
sisaktii saa.nse.n bhar rahii hai
viiraanii ke is 'aalam me.n
shal ho ga.ii hai soch merii
kabhii lak.Dii kii nok se
barfiilii zamiin ko chhedtii huu.n
kabhii aasmaan kii taraf dekhtii huu.n
yaado.n me.n lipTaa dil liye ye sochtii huu.n
ki hijrat ke safar me.n duuriyaa.n o.Dh kar
hamdardii se kyo.n mile log mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.