ek talvaar kii daastaan
ye aa.iine kaa safar-naama nahii.n
kisii aur ra.ng kii kashtii kii kahaanii hai
jis ke ek hazaar paa.nv the
ye ku.e.n kaa ThanDaa paanii nahii.n
kisii aur jagah ke ja.ngalii chashme kaa bayaan hai
jis me.n ek hazaar mash.alchii
ek duusre ko Dhuu.nD rahe ho.nge
ye juuto.n kii ek narm jo.Dii kaa mo.aamla nahii.n
jis ke talvo.n me.n ek jaanvar ke narm
aur uuprii hisse me.n us kii maada kii khaal ham-juft ho rahii hai
ye ek ii.nT kaa qissa nahii.n
aag paanii aur miTTii kaa faisla hai
ye ek talvaar kii daastaan hai
jis kaa dasta ek aadmii kaa vafaadaar thaa
aur dha.D ek hazaar aadamiyo.n ke badan me.n utar jaataa thaa
ye bistar par dhulii dhulaa.ii e.Diyaa.n raga.Dne kaa tazkira nahii.n
ek qatl-e-aam kaa halfiya hai
jis me.n ek aadmii kii ek hazaar baar jaa.n-baKHshii kii ga.ii

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.