faisla
radiologist un xro.n ko pa.Dh rahii hai
jin par merii guzishta nazm kii taariiKH pa.Dii hai
un logo.n ke zaKHm
itnii taaKHiir
itnii saffaakii se pa.Dhe jaa rahe hai.n
jo abhii tak zinda rahne kaa imtihaan dene me.n masruuf hai.n
''aadmii apnii Galatii se martaa hai''
ye surgeon-jeneral kaa faisla hai
''tum se Galatii hu.ii hai''
shaam ko jab mai.n use bataa.uu.ngaa
mai.n us se bahut mohabbat kartaa huu.n
to vo ye kahegii
radiologist un xro.n ko pa.Dh rahii hai
jin par merii guzishta nazm kii taariiKH pa.Dii hai
un logo.n ke zaKHm
itnii taaKHiir
itnii saffaakii se pa.Dhe jaa rahe hai.n
jo abhii tak zinda rahne kaa imtihaan dene me.n masruuf hai.n
''aadmii apnii Galatii se martaa hai''
ye surgeon-jeneral kaa faisla hai
''tum se Galatii hu.ii hai''
shaam ko jab mai.n use bataa.uu.ngaa
mai.n us se bahut mohabbat kartaa huu.n
to vo ye kahegii
- Book : AN EVENING OF CAGED BEASTS (Pg. 26)
- Author : Asif Farrukhi
- Publication : Ameena Saiyid, Oxford University (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.