Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gunaahgaar shaa.ir key be-gunaah nazme.n

Hafeez Tabassum

gunaahgaar shaa.ir key be-gunaah nazme.n

Hafeez Tabassum

MORE BYHafeez Tabassum

    kal merii do nazme.n baazaar ga.ii.n

    jo ju.Dvaa.n bahne.n thii.n

    magar vaapas nahii.n lauTii.n

    in dino.n curfew ke baa.is

    khule-aam ghuumnaa mamnuu.a thaa

    lekin mai.n ne din kii raftaar se tez bhaagte hu.e

    shahr kaa chakkar kaaTaa

    raat ke saa.e ke Dar se

    masjido.n me.n elaan karvaa.e ga.e

    magar dahshat ke bistar me.n dubke log

    kuchh nahii.n jaante

    kis kii phaTii e.Diyo.n se ristaa KHuun

    lakiire.n khii.nch rahaa hai

    aaKHir afsurdagii se diivaar me.n lagaa T v on kiyaa

    super-market dhamaake se u.Daa dii ga.ii

    mai.n bhaagtaa jaa-e-vaquu.a pahu.nchaa magar

    paanii se maut ke nishaan

    gutter me.n bahaa.e jaa chuke the

    ab be-yaqiinii ke cigarette phuu.nktaa

    qabro.n ke paas baiThaa huu.n

    jahaa.n bam dhamaake me.n mirii ruuhe.n dafn hai.n

    magar merii nazmo.n kii qabr kaun sii hai

    ki miTTii ke chehre se pahchaan mumkin nahii.n

    aur mai.n

    marne se pahle katba lagaanaa chaahtaa huu.n

    yahaa.n gunahgaar shaa.ir kii be-gunaah nazme.n dafn hai.n

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now