Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Gusl-KHaana

Bushra Raza

Gusl-KHaana

Bushra Raza

MORE BYBushra Raza

    kyaa kahuu.n ye haqiiqat hai

    'aurat ka aslii ghar

    ghar ka Gusl-KHaana hai

    Gusl-KHaane ka

    har vo konaa aur diivaar

    jis se Tek lagaa kar

    'aurat ne aa.nsuu bahaa.e

    apnii hichkiyo.n

    apnii siskiyo.n ko

    nal ke niiche bahaa.e

    dimaaG kii nase.n phaT kar

    chiith.De chiith.De ho jaatii hai.n

    jab dard Gusl-KHaane me.n nahaa.e

    aa.nkho.n ke diide

    laal angaare ho jaate hai.n

    bahte ashk jab ghul ghul kar

    Gusl-KHaane kii morii se baahar

    ho jaate hai.n

    Gusl-KHaane me.n rakhe

    saabun shampoo tissue paper

    colgate brush wiper

    'aurat ke dard ke bhaagii-daar saare

    kaash

    ye saarii chiize.n bol paatii.n

    ban paat gavaah 'aurat ke dard kii

    to shaayad 'aurat apnaa har case

    jiit paatii

    kyaa kahuu.n ye haqiiqat hai

    'aurat ka aslii ghar

    ghar ka Gusl-KHaana hai

    Gusl-KHaane ka

    har vo konaa aur diivaar

    jis se Tek lagaa kar

    'aurat ne aa.nsuu bahaa.e

    apnii hichkiyo.n

    apnii siskiyo.n ko

    nal ke niiche bahaa.e

    dimaaG kii nase.n phaT kar

    chiith.De chiith.De ho jaatii hai.n

    jab dard Gusl-KHaane me.n nahaa.e

    aa.nkho.n ke diide

    laal angaare ho jaate hai.n

    bahte ashk jab ghul ghul kar

    Gusl-KHaane kii morii se baahar

    ho jaate hai.n

    Gusl-KHaane me.n rakhe

    saabun shampoo tissue paper

    colgate brush wiper

    'aurat ke dard ke bhaagii-daar saare

    kaash

    ye saarii chiize.n bol paatii.n

    ban paat gavaah 'aurat ke dard kii

    to shaayad 'aurat apnaa har case

    jiit paatii

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now