Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jahaa.n tum ye nazm KHatm karogii

Afzal Ahmad Syed

jahaa.n tum ye nazm KHatm karogii

Afzal Ahmad Syed

MORE BYAfzal Ahmad Syed

    jahaa.n tum ye nazm KHatm karogii

    vahaa.n ek daraKHt ug aa.egaa

    shikaar kii ek muhim me.n

    tum us ke piichhe ek darinde ko halaak karogii

    kashtii-raanii ke din

    us se apnii kashtii baa.ndh sakogii

    ek in.aam-yaafta tasviir me.n

    tum us ke saamne kha.Dii nazar aa.ogii

    phir tum use

    bahut se daraKHto.n me.n gum kar dogii

    aur us kaa naam bhuul jaa.ogii

    aur ye nazm

    jahaa.n tum ye nazm KHatm karogii

    vahaa.n ek daraKHt ug aa.egaa

    shikaar kii ek muhim me.n

    tum us ke piichhe ek darinde ko halaak karogii

    kashtii-raanii ke din

    us se apnii kashtii baa.ndh sakogii

    ek in.aam-yaafta tasviir me.n

    tum us ke saamne kha.Dii nazar aa.ogii

    phir tum use

    bahut se daraKHto.n me.n gum kar dogii

    aur us kaa naam bhuul jaa.ogii

    aur ye nazm

    Source :
    • Book : AN EVENING OF CAGED BEASTS (Pg. 58)
    • Author : Asif Farrukhi
    • Publication : Ameena Saiyid, Oxford University (1999)
    • Edition : 1999
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now