zindagii kaa
pahlaa aur aaKHirii
gudaaz lams mahsuus karte hu.e
mai.n jaan na sakii
maa.n kii aa.nkho.n me.n
raqs karte aa.nsuu
aur
labo.n pe khilii muskuraahaT
mere aane kii KHushii kaa iz.haar the
yaa KHaamosh nauha the
us nazm ke adhuure-pan kaa
jo vo chhup kar gungunaayaa kartii thii
zindagii kaa
pahlaa aur aaKHirii
gudaaz lams mahsuus karte hu.e
mai.n jaan na sakii
maa.n kii aa.nkho.n me.n
raqs karte aa.nsuu
aur
labo.n pe khilii muskuraahaT
mere aane kii KHushii kaa iz.haar the
yaa KHaamosh nauha the
us nazm ke adhuure-pan kaa
jo vo chhup kar gungunaayaa kartii thii
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.